bhrashtachar ki sachchai

bhrashtachar mitao-shor hai.
nara yeh charon or hai.

bhrashtachar daitya sa lagta,
shatru sabhi ka ghor hai.

parjivi-sa hai magar yeh,
ismen n koi jor hai.

sadhan koi ek banaakar,
thame uski dor hai.

achran kintu sthool nahi,
daraa, chhupa yeh chor hai.

laalach ki sidhi nahin mile to,
ismen n koi jor hai.

laalach lekin bada shaitan,
uchhalta sab or hai.

kam hoga par nahin mitega,
kyonki maanav-man men thaur hai.



Comments

Popular posts from this blog

गधे के पूत यहाँ मत मूत

लावारीस वस्तुओं को न छुएं।

समानता धर्म है